Wednesday, March 14, 2012

Kutta mera mann tha!


Dil tha mera, tere liye khaali,
Dhadkan bhi uski mehmaan thi
Shayad darta tha main marne se,
Kyunki kutta mera mann tha!

Tere inkaar ko khamosh kar diya,
Hua ehsaas tere jaane ka.
Meri parchhai se duur tera darpan tha,
Maine khudko dekha nahi, kyunki kutta mera mann tha!

Apni zindagi ko kiya tere naam pe,
Tune mujhe maut ka ghulam bana diya
Jeb mein rumaal ke badle kafan tha,
Pagal dil ro diya, kyunki kutta mera mann tha!

Kho gaya tha main teri yaadon mein,
Tham gaya tha un lamho mein,
Sabse haseen hamara who milan tha,
Bekar the who din, kyunki kutta mera mann tha!

No comments: