Friday, May 4, 2012

Maa



Chaaha hai agar kisi ko, to yeh jaante
Maa ko dil mein kyu rakhte?
Zinda na hote hum abhi,
Agar dhadkan ko dil se juda karte!

Jaana hai agar kisi ko, to yeh jaante
Maa ko kabhi neend kyu nahi aati?
Chain se na sote hum abhi,
Agar sapno ko aankhon se juda karte!

Jiya hai agar kisi ke liye, to yeh jaante
Maa kabhi naraaz kyu nahi hoti?
Khush na rehte hum abhi,
Agar khud ko maa se juda karte!

No comments: