Dost mera kuch aisa tha
Uske paas bohat paisa tha
Tha woh pagal pyar mein
Na jane woh pyar kaisa tha
Mujhse har pal yeh ketha tha
Ke, uski yaadon mein woh rehta tha
Kachha aashiq tha mera dost
Uske inkaar ko sehta tha
Mujhse gale lagake jab woh roya tha
Mere dil ko usne bhigoya tha
Khamoshi mein jab humne taare gine
Chaand phalak pe soya tha
Na usko dikhi woh mehbooba
Na mujhko dikhi woh kaali raat
Ashkon se jab mann nahaye
Saala dost bhi bhai ban jaye!
No comments:
Post a Comment