Kabhi na kabhi, insaaf zaroor milega
Uthegi awaaz har naazuk zakhm se!
Taraazu mein qaid jo sawaal hain,
Unhe muh-tod jawaab milenge, kabhi na kabhi!
Kabhi na kabhi, nazrein jhukengi shaitan ki,
Hogi uske bhi rooh ko haiwaniyat ka ehsaas!
Bazaar mein bik rahe hain jo yaadon ke laddu,
Mithaas bharenge unme, kabhi na kabhi!
Kabhi na kabhi, rang bolenge apni kahaani.
Karenge shor apne bezubaan lafzon mein!
Phir khilega jo indra-dhanush phalak pe,
Raat ke andheron mein bhi ek subah hogi, KABHI NA KABHI!
No comments:
Post a Comment